Ye kis ne geet chheraa

ये किस ने गीत छेड़ा
Year
Language

सुमन: ये किस ने गीत छेड़ा ये किस ने गीत छेड़ा
दिल मेरा नाचे थिरक थिरक किस ने गीत छेड़ा
मुकेश: ये किस की ज़ुल्फ़ बिखरी ये किस की ज़ुल्फ़ बिखरी
जग सारा गया महक महक किस की ज़ुल्फ़ बिखरी

मुकेश: चोरी चोरी हौले हौले ठण्डी ठण्डी हवा आये
कलियों के मुख चूमे बगिया को सुलगाये
डाली डाली जाये लचक लचक किस की ज़ुल्फ़ बिखरी
सुमन: ये किस ने गीत छेड़ा …

सुमन: तुम ने ही किया टोना तुमने जादू फेरा
अनजानी डगरी पे चला देखो मन मेरा
मतवाला गया बहक बहक, किस ने गीत छेड़ा
मुकेश: ये किस की ज़ुल्फ़ बिखरी …

मुकेश: एक बाज़ी मैं ने जीती एक बाज़ी दिल हारा
सुमन: मेरे साजन तेरे कारण मैं ने छोड़ा जग सारा
संग तेरे चली रुनक झुनक किस ने गीत छेड़ा

मुकेश: ये किस की ज़ुल्फ़ बिखरी जग सारा गया महक महक
सुमन: किस ने गीत छेड़ा दिल मेरा नाचे थिरक थिरक
दोनो: किस ने गीत छेड़ा ये किस ने गीत छेड़ा ये किस ने गीत छेड़ा

suman: ye kis ne gīt chheṛā ye kis ne gīt chheṛā
dil merā nāche thirak thirak kis ne gīt chheṛā
mukeśh: ye kis kī zulf bikhrī ye kis kī zulf bikhrī
jag sārā gayā mahak mahak kis kī zulf bikhrī

mukeśh: chorī chorī haule haule ṭhaṇḍī ṭhaṇḍī havā āye
kaliyoṅ ke mukh chūme bagiyā ko sulgāye
ḍālī ḍālī jāye lachak lachak kis kī zulf bikhrī
suman: ye kis ne gīt chheṛā …

suman: tum ne hī kiyā ṭonā tumne jādū pherā
anjānī ḍagrī pe chalā dekho man merā
matvālā gayā bahak bahak, kis ne gīt chheṛā
mukeśh: ye kis kī zulf bikhrī …

mukeśh: ek bāzī maiṅ ne jītī ek bāzī dil hārā
suman: mere sājan tere kāraṇ maiṅ ne chhoṛā jag sārā
saṅg tere chalī runak jhunak kis ne gīt chheṛā

mukeśh: ye kis kī zulf bikhrī jag sārā gayā mahak mahak
suman: kis ne gīt chheṛā dil merā nāche thirak thirak
dono: kis ne gīt chheṛā ye kis ne gīt chheṛā ye kis ne gīt chheṛā