Ye khabar chhapvaa do akhbaar men ... paagal ho gae pyaar men

ये खबर छपवा दो अखबार में ... पागल हो गए प्यार में
Work
Year
Language

ये खबर छपवा दो अखबार में पोस्टर लगवा दो बाज़ार में
एक लड़का एक लड़की एक लड़का एक लड़की
हाय हाय दोनों पागल हो गए प्यार में
ये खबर छपवा दो …

नींद नहीं आती आँखों में जब से आँख लड़ी है
मैं भी हूँ बेताब बड़ा तू भी बेचैन बड़ी है
तेरे मेरे बीच ज़माने की दीवार खड़ी है
आ ढूंढें कोई खिड़की दरवाज़ा इस दीवार में
ये खबर छपवा दो …

हम दोनों हैं यार कंवारे निकली सौ बारातें
दिल के अन्दर ही न रह जाएं दिल की यह बातें
थोड़े से हैं प्यार के दिन थोड़ी सी प्यार की रातें
यह न हो मर जाएं हम दोनों इंतज़ार में
ये खबर छपवा दो …

प्यार के दुश्मन दुनिया वाले कर लें जो है करना
चुपके चुपके थाम के दिल ठंडी आहें क्‌या भरना
प्यार किया तो थोड़ी सी बदनामी से क्‌या डरना
काँटे भी होते हैं यहां फूलों के हार में
ये खबर छपवा दो …

ye khabar chhapvā do akhbār meṅ posṭar lagvā do bāzār meṅ
ek laṛkā ek laṛkī ek laṛkā ek laṛkī
hāy hāy donoṅ pāgal ho gae pyār meṅ
ye khabar chhapvā do …

nīṅd nahīṅ ātī āṇkhoṅ meṅ jab se āṇkh laṛī hai
maiṅ bhī hūṇ betāb baṛā tū bhī bechain baṛī hai
tere mere bīch zamāne kī dīvār khaṛī hai
ā ḍhūṅḍheṅ koī khiṛkī darvāzā is dīvār meṅ
ye khabar chhapvā do …

ham donoṅ haiṅ yār kaṅvāre niklī sau bārāteṅ
dil ke andar hī na rah jāeṅ dil kī yah bāteṅ
thoṛe se haiṅ pyār ke din thoṛī sī pyār kī rāteṅ
yah na ho mar jāeṅ ham donoṅ iṅtazār meṅ
ye khabar chhapvā do …

pyār ke duśhman duniyā vāle kar leṅ jo hai karnā
chupke chupke thām ke dil ṭhaṅḍī āheṅ k‌yā bharnā
pyār kiyā to thoṛī sī badnāmī se k‌yā ḍarnā
kāṇṭe bhī hote haiṅ yahāṅ phūloṅ ke hār meṅ
ye khabar chhapvā do …