Ye jo thore se hain paise kharch tum par karoon kaise

ये जो थोड़े से हैं पैसे खर्च तुम पर करूं कैसे
Year
Language

ये जो थोड़े से हैं पैसे खर्च तुम पर करूं कैसे

अगर कहीं इक दुकान होती जहां पे मिलते गगन के तारे
मैं सारे तारे खरीद लेता तुम्हारे आँचल में टांक देता
मगर क्‌या करूं मैं कि ये जानता हूँ तारे मिलते नहीं ऐसे
ये जो थोड़े से हैं …

अगर कहीं इक दुकान होती जहां पे मिलते हसीन सपने
मैं सारे सपने खरीद लाता तुम्हारी पलकों पे मैं सजाता
मगर क्‌या करूं मैं कि ये जानता हूँ सपने मिलते नहीं ऐसे
ये जो थोड़े से हैं …

मैं जानता हूँ
कहां ये पैसे कहां मुहब्बत
कहां ये ज़र्रे कहां वो परबत
कहां ये कागज़ की एक नाव कहां वो जज़्बात का बहाव
ये सच है मगर फिर भी मैं सोचता हूँ
ये जो थोड़े से हैं …

ye jo thoṛe se haiṅ paise kharch tum par karūṅ kaise

agar kahīṅ ik dukān hotī jahāṅ pe milte gagan ke tāre
maiṅ sāre tāre kharīd letā tumhāre āṇchal meṅ ṭāṅk detā
magar k‌yā karūṅ maiṅ ki ye jāntā hūṇ tāre milte nahīṅ aise
ye jo thoṛe se haiṅ …

agar kahīṅ ik dukān hotī jahāṅ pe milte hasīn sapne
maiṅ sāre sapne kharīd lātā tumhārī palkoṅ pe maiṅ sajātā
magar k‌yā karūṅ maiṅ ki ye jāntā hūṇ sapne milte nahīṅ aise
ye jo thoṛe se haiṅ …

maiṅ jāntā hūṇ
kahāṅ ye paise kahāṅ muhabbat
kahāṅ ye zarre kahāṅ vo parbat
kahāṅ ye kāgaz kī ek nāv kahāṅ vo jazbāt kā bahāv
ye sach hai magar phir bhī maiṅ sochtā hūṇ
ye jo thoṛe se haiṅ …