Ye jo teree paaylon kee chhan chhan hai

ये जो तेरी पायलों की छन छन है
Work
Year
Language

ये जो तेरी पायलों की छन छन है आशिक़ों के दिल की ये धड़कन है
छन छन सुने जाए हाय हाय करे जाए पायल है तेरी या उलझन है
छन छन छन

बनके दीवाना मेरा पीछा न कर तेरी मेरी यारी होनी मुश्किल है
कभी मुझे रोके तू कभी मुझे टोके तू आशिक़ नहीं मेरा दुश्मन है
ये जो तेरी पायलों की …

ज़ुल्फ़ से लेकर झांझर तक तू जन्नत का इक नज़ारा है
लगता है रब ने तुझको ज़मीं पे मेरे लिए उतारा है
ख्वाब इतने सुहाने देख न ओ दीवाने
तुझपे फ़िदा हो जाऊं मैं दिल मेरा न ये माने
यही तो समझ नहीं पाया हूँ मैं ऐसी भी क्‌या तेरी मेरी अनबन है
बनके दीवाना मेरा पीछा …

दे देंगे तेरी खातिर जां भी सभी यही कहते हैं
नज़र सभी की और कहीं तो कदम कहीं रहते हैं
हो ऐसा नहीं मैं आवारा दिल नहीं मेरा बंजारा
इस कदर भी अकड़ ना नासमझ बेचारा
इसे समझाना ज़रा मुश्किल है देर से मानेगी पर मुमकिन है
ये जो तेरी पायलों की …

ye jo terī pāyloṅ kī chhan chhan hai āśhiqoṅ ke dil kī ye dhaṛkan hai
chhan chhan sune jāe hāy hāy kare jāe pāyal hai terī yā uljhan hai
chhan chhan chhan

banke dīvānā merā pīchhā na kar terī merī yārī honī muśhkil hai
kabhī mujhe roke tū kabhī mujhe ṭoke tū āśhiq nahīṅ merā duśhman hai
ye jo terī pāyloṅ kī …

zulf se lekar jhāṅjhar tak tū jannat kā ik nazārā hai
lagtā hai rab ne tujhko zamīṅ pe mere lie utārā hai
khvāb itne suhāne dekh na o dīvāne
tujhpe fidā ho jāūṅ maiṅ dil merā na ye māne
yahī to samajh nahīṅ pāyā hūṇ maiṅ aisī bhī k‌yā terī merī anaban hai
banke dīvānā merā pīchhā …

de deṅge terī khātir jāṅ bhī sabhī yahī kahte haiṅ
nazar sabhī kī aur kahīṅ to kadam kahīṅ rahte haiṅ
ho aisā nahīṅ maiṅ āvārā dil nahīṅ merā baṅjārā
is kadar bhī akaṛ nā nāsmajh bechārā
ise samjhānā zarā muśhkil hai der se mānegī par mumkin hai
ye jo terī pāyloṅ kī …