Ye havaa, ye havaa, ye phijaa

ये हवा, ये हवा, ये फिजा
Work
Year
Language

ये हवा, ये हवा, ये हवा
ये फिजा, ये फिजा, ये फिजा
है उदास जैसे मेरा दिल, मेरा दिल, मेरा दिल
आ भी जा, आ भी जा, आ भी जा

आ के अब तो चांदनी भी जर्द हो चली
धडकनों की नर्म आंच सर्द हो चली
ढ़ल चली है रात, आ के मिल
आ भी जा, आ भी जा, आ भी जा

राह में बिछी हुई है मेरी हर नजर
मैं तडप रहा हूँ और तू है बेखबर
रुक रही है सांस, आ के मिल
आ भी जा, आ भी जा, आ भी जा

ye havā, ye havā, ye havā
ye phijā, ye phijā, ye phijā
hai udās jaise merā dil, merā dil, merā dil
ā bhī jā, ā bhī jā, ā bhī jā

ā ke ab to chāṅdnī bhī jard ho chalī
dhaḍaknoṅ kī narm āṅch sard ho chalī
ṛhal chalī hai rāt, ā ke mil
ā bhī jā, ā bhī jā, ā bhī jā

rāh meṅ bichhī huī hai merī har najar
maiṅ taḍap rahā hūṇ aur tū hai bekhabar
ruk rahī hai sāṅs, ā ke mil
ā bhī jā, ā bhī jā, ā bhī jā