Ye hai reshmee zulfon kaa andheraa naa ghabraaeeye

ये है रेशमी ज़ुल्फ़ों का अँधेरा ना घबराईये
Work
Year
Language

ये है रेशमी ज़ुल्फ़ों का अँधेरा ना घबराईये
जहाँ तक महक है मेरे गेसुओं की चले आईये

सुनिए तो जरा, जो हक़ीक़त है कहते है हम
खुलते रुकते इन रंगीं लबों की कसम
जल उठेंगे दिए जुगनुओं की तरह, ये तबस्सुम तो फरमाईये

प्यासी है नज़र ये भी कहने की है बात क्या
तुम हो मेहमां तो न ठहरेगी ये रात क्या
रात जाए रहे, आप दिल में मेरे अरमां बन के रह जाईये

ye hai reśhmī zulfoṅ kā aṇdherā nā ghabrāīye
jahāṇ tak mahak hai mere gesuoṅ kī chale āīye

sunie to jarā, jo haqīqat hai kahte hai ham
khulte rukte in raṅgīṅ laboṅ kī kasam
jal uṭheṅge die jugnuoṅ kī tarah, ye tabassum to pharmāīye

pyāsī hai nazar ye bhī kahne kī hai bāt kyā
tum ho mehmāṅ to na ṭhahregī ye rāt kyā
rāt jāe rahe, āp dil meṅ mere armāṅ ban ke rah jāīye