Ye dil hai muhabbat kaa pyaasaa, is dil kaa tarapnaa k‌yaa kahiye

ये दिल है मुहब्बत का प्यासा, इस दिल का तड़पना क्‌या कहिये
Year
Language

ये दिल है मुहब्बत का प्यासा
इस दिल का तड़पना क्‌या कहिये
मायूस हैं हम मग़रूर हो तुम
और तुमपे ही मिटना क्‌या कहिये
ये दिल है

ये शौक हमें के उठा ले उन्हें
वो शर्म-ओ-हया के मारे हैं
ये शौक, ये शौक हमें के उठा ले उन्हें
वो शर्म-ओ-हया के मारे हैं - 2
ये हद से गुज़र जाना अपना
और उनका सिमटना क्‌या कहिये
ये दिल है

किस सोच में हो कुछ होश नहीं
ये घबराहट भी कैसी है - 2
बल खा के हमीं से हट जाना
फिर हमसे निपटना क्‌या कहिये
ये दिल है

आ जाओ हमारी बाहों में
हाय ये है कैसी मजबूरी
आ जाओ, आ जाओ हमारी बाहों में
हाय ये है कैसी मजबूरी - 2
हम आपके हैं कोई गैर नहीं
अपनों से उलझना क्‌या कहिये

ये दिल है …

ye dil hai muhabbat kā pyāsā
is dil kā taṛapnā k‌yā kahiye
māyūs haiṅ ham maġhrūr ho tum
aur tumpe hī miṭnā k‌yā kahiye
ye dil hai

ye śhauk hameṅ ke uṭhā le unheṅ
vo śharm-o-hayā ke māre haiṅ
ye śhauk, ye śhauk hameṅ ke uṭhā le unheṅ
vo śharm-o-hayā ke māre haiṅ - 2
ye had se guzar jānā apnā
aur unkā simaṭnā k‌yā kahiye
ye dil hai

kis soch meṅ ho kuchh hośh nahīṅ
ye ghabrāhaṭ bhī kaisī hai - 2
bal khā ke hamīṅ se haṭ jānā
phir hamse nipaṭnā k‌yā kahiye
ye dil hai

ā jāo hamārī bāhoṅ meṅ
hāy ye hai kaisī majbūrī
ā jāo, ā jāo hamārī bāhoṅ meṅ
hāy ye hai kaisī majbūrī - 2
ham āpke haiṅ koī gair nahīṅ
apnoṅ se ulajhnā k‌yā kahiye

ye dil hai …