Ye dil deevaanaa hai kahnaa na maane

ये दिल दीवाना है कहना न माने
Year
Language

दिल दीवाना है ये दिल तो दीवाना है
ये दिल दीवाना है कहना न माने
ये दिल तू पागल है कुछ भी न जाने
ये दिल दीवाना …

क्‌या बताऊं हुआ क्‌या इसे
चाहता हर घड़ी बस तुझे
ये दिल दीवाना …

थोड़ा थोड़ा करार है थोड़ा थोड़ा खुमार है
जादू जगाया निगाहों ने तेरी
दिल धड़काया अदाओं ने तेरी
दीवानगी बढ़ने लगी क्‌यूं भला
ये दिल दीवाना …

होना था जो वो हो गया
दिल को खोना था खो गया
छाने लगा है मुहब्बत का नशा
मैं तो न जानूं हुआ है मुझे क्‌या
न चैन है न होश है क्‌या करूं
ये दिल दीवाना …

dil dīvānā hai ye dil to dīvānā hai
ye dil dīvānā hai kahnā na māne
ye dil tū pāgal hai kuchh bhī na jāne
ye dil dīvānā …

k‌yā batāūṅ huā k‌yā ise
chāhtā har ghaṛī bas tujhe
ye dil dīvānā …

thoṛā thoṛā karār hai thoṛā thoṛā khumār hai
jādū jagāyā nigāhoṅ ne terī
dil dhaṛkāyā adāoṅ ne terī
dīvāngī baṛhne lagī k‌yūṅ bhalā
ye dil dīvānā …

honā thā jo vo ho gayā
dil ko khonā thā kho gayā
chhāne lagā hai muhabbat kā naśhā
maiṅ to na jānūṅ huā hai mujhe k‌yā
na chain hai na hośh hai k‌yā karūṅ
ye dil dīvānā …