Ye bahkee bahkee chaal ... aisaa lagtaa hai mujhe pyaar ho gayaa hai

ये बहकी बहकी चाल ... ऐसा लगता है मुझे प्यार हो गया है
Year
Language

ये बहकी बहकी चाल ये बिखरे बिखरे बाल
तेरा भी ये हाल मेरा भी ये हाल
ऐसे कैसे ये दिल बेकरार हो गया है
ऐसा लगता है मुझे प्यार हो गया है

नींद नहीं आती मुझे रातों में
बस दो चार मुलाक़ातों में
तेरे बिना जीना दुश्वार हो गया
ऐसा लगता है मुझे …

बस में मेरा दिल आज नहीं
अब कोई इसका इलाज नहीं
तीर दिल के आर पार हो गया
ऐसा लगता है मुझे …

ye bahkī bahkī chāl ye bikhre bikhre bāl
terā bhī ye hāl merā bhī ye hāl
aise kaise ye dil bekrār ho gayā hai
aisā lagtā hai mujhe pyār ho gayā hai

nīṅd nahīṅ ātī mujhe rātoṅ meṅ
bas do chār mulāqātoṅ meṅ
tere binā jīnā duśhvār ho gayā
aisā lagtā hai mujhe …

bas meṅ merā dil āj nahīṅ
ab koī iskā ilāj nahīṅ
tīr dil ke ār pār ho gayā
aisā lagtā hai mujhe …