Ye baat hotee hai paidaa janaab barson men

ये बात होती है पैदा जनाब बरसों में
Work
Year
Language

ये बात होती है पैदा जनाब बरसों में
ख़ुदा बनाता है ऐसा शबाब बरसों में
ये बात होती है …

बहार आती है और रंग-रूप मिलते हैं -2
चमन में वैसे तो हर रोज़ फूल खिलते हैं
( चमन में खिलता है ) -2 तुम सा गुलाब बरसों में
ख़ुदा बनाता है …

नहीं ये बात के तुमसा हसीं नहीं होगा -2
यहाँ नहीं तो वो जहाँ में कहीं होगा
मगर मिलेगा तुम्हारा जवाब बरसों में
ख़ुदा बनाता है …

तेरा ख़्याल है हर वक़्त याद के क़ाबिल -2
मगर ये मेरी नज़र भी है दाद के क़ाबिल
( किया है जिसने ) -2 तुम्हें इन्तिख़ाब बरसों में
ख़ुदा बनाता है …

ye bāt hotī hai paidā janāb barsoṅ meṅ
khudā banātā hai aisā śhabāb barsoṅ meṅ
ye bāt hotī hai …

bahār ātī hai aur raṅg-rūp milte haiṅ -2
chaman meṅ vaise to har roz phūl khilte haiṅ
( chaman meṅ khiltā hai ) -2 tum sā gulāb barsoṅ meṅ
khudā banātā hai …

nahīṅ ye bāt ke tumsā hasīṅ nahīṅ hogā -2
yahāṇ nahīṅ to vo jahāṇ meṅ kahīṅ hogā
magar milegā tumhārā javāb barsoṅ meṅ
khudā banātā hai …

terā khyāl hai har vaqt yād ke qābil -2
magar ye merī nazar bhī hai dād ke qābil
( kiyā hai jisne ) -2 tumheṅ intikhāb barsoṅ meṅ
khudā banātā hai …