tū ḍhūṇḍhtā hai jisko bastī me āke ban me
vo sāṇvrā salonā rahtā hai, rahtā hai tere man me …
masjīd me maṅdiroṅ meṅ parvat ke kaṅkaṛoṅ meṅ
nadīyoṅ ke pānīyoṅ meṅ gahre samaṅdroṅ meṅ
lehrā rahā hai vo hī khud apne bāṇkapan me
vo sāṇvrā salonā rahtā hai, rahtā hai tere man me …
har zarre me ramā hai har phul me basā hai
har chīz me usīkā jalvā jhalak rahā hai
harkat vo kar rahā hai har ik ke tan badan me
vo sāṇvrā salonā rahtā hai rahtā hai tere man me …