Yahee vo jagah hai, yahee vo fizaa hai

यही वो जगह है, यही वो फ़िज़ा है
Year
Language

यही वो जगह है, यही वो फ़िज़ा है
यहीं पर कभी आप हमसे मिले थे
इन्हें हम भला किस तरह भूल जायें
यहीं पर कभी आप हमसे मिले थे
यहि वो जगह है …

यहीं पर मेरा हाथ, हाथों में लेकर
कभी ना बिछड़ने का, वादा किया था
सदा के लिये हो गए हम तुम्हारे
गले से लगा कर हमें ये कहा था
कभी कम ना होंगी हमारी वफ़ाएं
यहीं पर कभी आप हमसे मिले थे
यहि वो जगह है …

यहीं पर वफ़ा का, नया रंग भर के
बनाई थी चाहत की, तसवीर तुमने
यहीं की बहारों से, फूलों को चुन कर
संवारी थी उलफ़त की, तक़दीर तुमने
वो दिल आपको याद कैसे दिलाये
यहीं पर कभी आप हमसे मिले थे
यहि वो जगह है …

yahī vo jagah hai, yahī vo fizā hai
yahīṅ par kabhī āp hamse mile the
inheṅ ham bhalā kis tarah bhūl jāyeṅ
yahīṅ par kabhī āp hamse mile the
yahi vo jagah hai …

yahīṅ par merā hāth, hāthoṅ meṅ lekar
kabhī nā bichhaṛne kā, vādā kiyā thā
sadā ke liye ho gae ham tumhāre
gale se lagā kar hameṅ ye kahā thā
kabhī kam nā hoṅgī hamārī vafāeṅ
yahīṅ par kabhī āp hamse mile the
yahi vo jagah hai …

yahīṅ par vafā kā, nayā raṅg bhar ke
banāī thī chāhat kī, tasvīr tumne
yahīṅ kī bahāroṅ se, phūloṅ ko chun kar
saṅvārī thī ulafat kī, taqdīr tumne
vo dil āpko yād kaise dilāye
yahīṅ par kabhī āp hamse mile the
yahi vo jagah hai …