Yahaan koee naheen teraa mere sivaa

यहाँ कोई नहीं तेरा मेरे सिवा
Year
Language

यहाँ कोई नहीं तेरा मेरे सिवा
कहती है झूमती गाती हवा
तुम सब को छोड़ कर आ जाओ, आ जाओ आ जाओ

बादल भी बन के पानी, इक दिन तो बरसता है
लोहा भी जल के आग में इक दिन तो पिघलता है
जिस दिल में हो मुहब्बत इक दिन तो तरसता है
यहाँ कोई नहीं …

तेरी मन की उलझनें सुलझाना चाहता हूँ
तुझे आज से अपनी मैं बनाना चाहता हूँ
मन के सुनहरे मन्दिर में बिठाना चाहता हूँ
यहाँ कोई नहीं …

yahāṇ koī nahīṅ terā mere sivā
kahtī hai jhūmtī gātī havā
tum sab ko chhoṛ kar ā jāo, ā jāo ā jāo

bādal bhī ban ke pānī, ik din to barastā hai
lohā bhī jal ke āg meṅ ik din to pighaltā hai
jis dil meṅ ho muhabbat ik din to tarastā hai
yahāṇ koī nahīṅ …

terī man kī ulajhneṅ suljhānā chāhtā hūṇ
tujhe āj se apnī maiṅ banānā chāhtā hūṇ
man ke sunahre mandir meṅ biṭhānā chāhtā hūṇ
yahāṇ koī nahīṅ …