Yaaraa o yaaraa, ishk ne maaraa

यारा ओ यारा, इश्क ने मारा
Work
Year
Language

यारा ओ यारा, इश्क ने मारा
हो गया मैं तो तुझमें तमाम
दे रहें सब मुझे तेरा नाम, मैं बेनाम हो गया ..

तेरी अदायें, तेरा ही जलवा
कैसी ये कलियाँ, कैसी बहार
अब दिल तो मेरा तेरा नगर है
ये मेरी अँखियाँ हैं तेरे द्वार
अब मैं कहाँ हूँ, सब तू ही तू है
मेरा मन, मेरा तन, मेरा नाम
मैं बेनाम हो गया ..

काजल धुल जाये आंसू से और रंग धुले पानी से
रंग चढ़ाया मैंने मिलकर उस दिलबर जानी से
सूरत मेरी रूप है उसका
बन गया बन गया मेरा काम
मैं बेनाम हो गया ..

yārā o yārā, iśhk ne mārā
ho gayā maiṅ to tujhmeṅ tamām
de raheṅ sab mujhe terā nām, maiṅ benām ho gayā ..

terī adāyeṅ, terā hī jalvā
kaisī ye kaliyāṇ, kaisī bahār
ab dil to merā terā nagar hai
ye merī aṇkhiyāṇ haiṅ tere dvār
ab maiṅ kahāṇ hūṇ, sab tū hī tū hai
merā man, merā tan, merā nām
maiṅ benām ho gayā ..

kājal dhul jāye āṅsū se aur raṅg dhule pānī se
raṅg chaṛhāyā maiṅne milkar us dilbar jānī se
sūrat merī rūp hai uskā
ban gayā ban gayā merā kām
maiṅ benām ho gayā ..