Yaar maine ik sapnaa dekhaa ... sapne men tujhe apnaa dekhaa

यार मैने इक सपना देखा ... सपने में तुझे अपना देखा
Year
Language

हूं हूं यार मैने इक सपना देखा
सपने में तुझे अपना देखा
हो यार मैने इक …

प्यार का जादू दिल पे चलते देखा
खुद से बातें खुद को मैने करते देखा
अरे प्यार की उजली उजली ये राहें देखीं
दूर दूर तक फैली तेरी बाहें देखीं
मत पूछो मैने तुझको कितना देखा
हाँ सपने में तुझे …

आँखों को आँखों से मैने लड़ते देखा
नज़रों की तितली को मैने उड़ते देखा
ओ दिल को दिल से मैने टकराते देख
इन बाहों में तुझको मैने आते देखा
पहले प्यार का पहला पहला सपना देखा
सपने में तुझे …

मेरे सपनों में आ के मुझे तरसाएगी तू
मेरी नींदें उड़ा के मुझे तड़पाएगी तू
मगर दिल मेरा कहता है कभी तो आएगी तू
मेरी हो जाएगी तू
हाँ यार मैने इक …

hūṅ hūṅ yār maine ik sapnā dekhā
sapne meṅ tujhe apnā dekhā
ho yār maine ik …

pyār kā jādū dil pe chalte dekhā
khud se bāteṅ khud ko maine karte dekhā
are pyār kī ujlī ujlī ye rāheṅ dekhīṅ
dūr dūr tak phailī terī bāheṅ dekhīṅ
mat pūchho maine tujhko kitnā dekhā
hāṇ sapne meṅ tujhe …

āṇkhoṅ ko āṇkhoṅ se maine laṛte dekhā
nazroṅ kī titlī ko maine uṛte dekhā
o dil ko dil se maine ṭakrāte dekh
in bāhoṅ meṅ tujhko maine āte dekhā
pahle pyār kā pahlā pahlā sapnā dekhā
sapne meṅ tujhe …

mere sapnoṅ meṅ ā ke mujhe tarsāegī tū
merī nīṅdeṅ uṛā ke mujhe taṛpāegī tū
magar dil merā kahtā hai kabhī to āegī tū
merī ho jāegī tū
hāṇ yār maine ik …