Yaad toree aaee main to chham-chham roee re

याद तोरी आई मैं तो छम-छम रोई रे
Work
Year
Language

( याद तोरी आई मैं तो छम-छम रोई रे
प्रीत भरे आँसुओं ने चुनरी भिगोई रे चुनरी भिगोई ) -2
याद तोरी आई …

हज़ार पहरे लगे हों मगर ओ मेरे साथी
( मिलें जो पंख तो ) -2 पंछी से पहले मैं आती
तोसे बिछड़ के मैं तो पल भर न सोई रे
प्रीत भरे आँसुओं …

तड़प के आज तुझे हाल-ए-दिल लिखा मैने
( संभल के खोलना ) -2 ख़त इसमें दिल रखा मैने
छोटे से दिल में सारी दुनिया समोई रे
प्रीत भरे आँसुओं …

( yād torī āī maiṅ to chham-chham roī re
prīt bhare āṇsuoṅ ne chunrī bhigoī re chunrī bhigoī ) -2
yād torī āī …

hazār pahre lage hoṅ magar o mere sāthī
( mileṅ jo paṅkh to ) -2 paṅchhī se pahle maiṅ ātī
tose bichhaṛ ke maiṅ to pal bhar na soī re
prīt bhare āṇsuoṅ …

taṛap ke āj tujhe hāl-e-dil likhā maine
( saṅbhal ke kholnā ) -2 khat ismeṅ dil rakhā maine
chhoṭe se dil meṅ sārī duniyā samoī re
prīt bhare āṇsuoṅ …