Yaad teree aaegee, mujhko baraa sataaegee

याद तेरी आएगी, मुझको बड़ा सताएगी
Year
Language

याद तेरी आएगी, मुझको बड़ा सताएगी
ज़िद ये झूठी तेरी मेरी जान लेके जाएगी
याद तेरी…

तेरा साथ छूटा टूटा दिल का खिलौना
कितना है मुश्क़िल दिल से यार को भुलाना
दिल का हमेशा से है दुश्मन ज़माना
ग़म ये है तूने मुझे न पहचाना, न पहचाना
याद तेरी…

बुझ गया सूरज जले चाँद तारे
नज़रें धुंआँ हैं धुंआँ सारे नज़ारे
मुझे दिल लगाने की क्‌या तूने सज़ा दी
बिना सोचे समझे दिल की दुनिया जला दी
दुनिया जला दी
याद तेरी…

हँस के सहूँगा सारे दुनिया के ये ग़म
मर भी गया तो होगा प्यार नहीं कम
छीन ले तुझे जो मुझसे किसमें है ये दम
तन से जुदा हैं तो क्‌या एक जान हैं हम, एक जान हैं हम
एक जान हैं हम, याद तेरी…

yād terī āegī, mujhko baṛā satāegī
zid ye jhūṭhī terī merī jān leke jāegī
yād terī…

terā sāth chhūṭā ṭūṭā dil kā khilaunā
kitnā hai muśhqil dil se yār ko bhulānā
dil kā hameśhā se hai duśhman zamānā
ġham ye hai tūne mujhe na pahchānā, na pahchānā
yād terī…

bujh gayā sūraj jale chāṇd tāre
nazreṅ dhuṅāṇ haiṅ dhuṅāṇ sāre nazāre
mujhe dil lagāne kī k‌yā tūne sazā dī
binā soche samjhe dil kī duniyā jalā dī
duniyā jalā dī
yād terī…

hṇs ke sahūṇgā sāre duniyā ke ye ġham
mar bhī gayā to hogā pyār nahīṅ kam
chhīn le tujhe jo mujhse kismeṅ hai ye dam
tan se judā haiṅ to k‌yā ek jān haiṅ ham, ek jān haiṅ ham
ek jān haiṅ ham, yād terī…