याद रखना चाँद तारों इस सुहानी रात को -2
दो दिलों में चुपके चुपके जो हुई सो बात को -2
याद रखना …
आ गई मेरे चमन में भूल कर कैसे बहार -2
झूम कर बजने लगे हैं आज मन वीना के तार -2
ये खुशी उठती हुई ये ज़िन्दगी हँसती हुई -2
याद रखना चाँद तारों इस सुहानी रात को
याद रखना …
आसमाँ पर आसमान के प्रेमियों का मेल है -2
ज़िन्दगी के कोने कोने में खुशी का खेल है -2
आरज़ू मचली हुई ये ज़िन्दगी हँसती हुई
याद रखना चाँद तारों इस सुहानी रात को -2
याद रखना …
yād rakhnā chāṇd tāroṅ is suhānī rāt ko -2
do diloṅ meṅ chupke chupke jo huī so bāt ko -2
yād rakhnā …
ā gaī mere chaman meṅ bhūl kar kaise bahār -2
jhūm kar bajne lage haiṅ āj man vīnā ke tār -2
ye khuśhī uṭhtī huī ye zindgī hṇstī huī -2
yād rakhnā chāṇd tāroṅ is suhānī rāt ko
yād rakhnā …
āsmāṇ par āsmān ke premiyoṅ kā mel hai -2
zindgī ke kone kone meṅ khuśhī kā khel hai -2
ārazū machlī huī ye zindgī hṇstī huī
yād rakhnā chāṇd tāroṅ is suhānī rāt ko -2
yād rakhnā …