Yaad rahegaa pyaar kaa ye rangeen zamaanaa

याद रहेगा प्यार का ये रंगीन ज़माना
Work
Year
Language

मु: याद रहेगा प्यार का ये रंगीन ज़माना याद रहेगा
ल: इस दुनिया में छोटी सी अपनी दुनिया बसाना याद रहेगा
हो याद रहेगा प्यार …

मु: एक हैं हम और एक रहेंगे सुख में भी और दुख में भी
ल: जब-तक है साँसों का बंधन ये बंधन टूटे न कभी
मु: जनम-जनम ये रस्में निभाने की क़समें खाना याद रहेगा
दो: हो याद रहेगा प्यार …

ल: अपने जहाँ में मधुर हसीं की गूँज कभी ना माँद पड़े
मु: जो भी क़दम बढ़ता है अपना एक दूजे की ओर बढ़े
ल: प्यार में छुप के दो सायों का एक हो जाना याद रहेगा
दो: हो याद रहेगा प्यार …

mu: yād rahegā pyār kā ye raṅgīn zamānā yād rahegā
la: is duniyā meṅ chhoṭī sī apnī duniyā basānā yād rahegā
ho yād rahegā pyār …

mu: ek haiṅ ham aur ek raheṅge sukh meṅ bhī aur dukh meṅ bhī
la: jab-tak hai sāṇsoṅ kā baṅdhan ye baṅdhan ṭūṭe na kabhī
mu: janam-janam ye rasmeṅ nibhāne kī qasmeṅ khānā yād rahegā
do: ho yād rahegā pyār …

la: apne jahāṇ meṅ madhur hasīṅ kī gūṇj kabhī nā māṇd paṛe
mu: jo bhī qadam baṛhtā hai apnā ek dūje kī or baṛhe
la: pyār meṅ chhup ke do sāyoṅ kā ek ho jānā yād rahegā
do: ho yād rahegā pyār …