ham kochvān ham kochvān
ham kochvān pyāre
haiṅ duniyā bhar ke log hamārī
āṇkhoṅ ke tāre
ham kochvān …
sārī duniyā kī hṇsī khuśhī
sāre saṅsār kā ġham
le jāye uṭhā kar ham
ham kochvān …
koī pyār kareṅ yā vār kareṅ
ham mast sadā rahte
aur muṇh se yahī kahte
auro se hameṅ kyā lenā denā
ham sab se nyāre
ham kochvān …
jab chāṇd se sudhā barastī hai
aur sārī duniyā hṇstī hai
jab bichhaṛe do dil milne par
har ujaṛī bastī bastī hai
jab premī prem kī mastī bharī
mastānī tān uṛāte haiṅ
ham inko udhār le jāte haiṅ
ham unko idhar le āte haiṅ
chalnī hamārī ṭik-ṭik-ṭik-ṭik kar ke
gāṛī sab ke sahāre
ham kochvān …