Title (Indic)मैं ने भी हुस्न की नज़रों में जगह पायी है WorkWanted Year1961 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ravi Performer Talat Mahmood Writer Shakeel Badayuni LyricsHindiमैं ने भी हुस्न की नज़रों में जगह पायी है तुम मिले हो तो मुहब्बत से बहार आयी है मेरे सीने पे ज़रा हाथ तो रख कर देखो दिल की धड़कन ये नहीं प्यार की शेहनाई है ये हसीं रूप ये ज़ुल्फ़ों के नशीले साये जैसे भर पूर क़यामत पे शबाब आ जाये रुख़ से पर्दे को ज़रा देर हटा रहने दो तुम को देखेगा वही जिस की क़ज़ा आयी है मेरे सीने पे ज़रा … दिल तो क्या जान भी मैं तुम पे लुटा सकता हूँ ज़िंदगी मौत के पर्दे में छुपा सकता हूँ मुझे ग़म दो कि खुशी अब है तुम्हारी मर्ज़ी मैं ने तो इश्क़ में मिटने की क़सम खायी है मेरे सीने पे ज़रा … इश्क़ की राह में साहिल भी है तूफ़ान भी हैं इस में इज़्ज़त भी है रुसवाई के सामान भी हैं मेरी जान दुनियाँ के डर से न बदल जाना तू क्यों की अब मिल के न मिलने में भी रुसवाई है Englishmaiṅ ne bhī husn kī nazroṅ meṅ jagah pāyī hai tum mile ho to muhabbat se bahār āyī hai mere sīne pe zarā hāth to rakh kar dekho dil kī dhaṛkan ye nahīṅ pyār kī śhehnāī hai ye hasīṅ rūp ye zulfoṅ ke naśhīle sāye jaise bhar pūr qayāmat pe śhabāb ā jāye rukh se parde ko zarā der haṭā rahne do tum ko dekhegā vahī jis kī qazā āyī hai mere sīne pe zarā … dil to kyā jān bhī maiṅ tum pe luṭā saktā hūṇ ziṅdgī maut ke parde meṅ chhupā saktā hūṇ mujhe ġham do ki khuśhī ab hai tumhārī marzī maiṅ ne to iśhq meṅ miṭne kī qasam khāyī hai mere sīne pe zarā … iśhq kī rāh meṅ sāhil bhī hai tūfān bhī haiṅ is meṅ izazat bhī hai rusvāī ke sāmān bhī haiṅ merī jān duniyāṇ ke ḍar se na badal jānā tū kyoṅ kī ab mil ke na milne meṅ bhī rusvāī hai