Vo jo milte the kabhee ham se deevaanon kee tarah

वो जो मिलते थे कभी हम से दीवानों की तरह्
Year
Language

वो जो मिलते थे कभी हम से दीवानों की तरह
आज यूँ मिअल्ते हैं जैसे कभी पहचान न थी

देखते भी हैं तो यूँ मेरी निगाहों में कभी
अजनबी जैसे मिला करते हैं राहों में कभी
इस क़दर उनकी नज़र हम से तो अंजान न थी
वो जो मिलते थे कभी …

एक दिन था कभी यूँ भी जो मचल जाते थे
खेलते थे मेरी ज़ुल्फ़ों से बहल जाते थे
वो परेशाँ थे मेरी ज़ुल्फ़ परेशान न थी
वो जो मिलते थे कभी …

वो मुहब्बत वो शरारत मुझे याद आती है
दिल में इक प्यार का तूफ़ान उठा जाती थी
थी मगर ऐसी तो उलझन में मेरी जान न थी
वो जो मिलते थे कभी …

vo jo milte the kabhī ham se dīvānoṅ kī tarah
āj yūṇ mialte haiṅ jaise kabhī pahchān na thī

dekhte bhī haiṅ to yūṇ merī nigāhoṅ meṅ kabhī
ajanbī jaise milā karte haiṅ rāhoṅ meṅ kabhī
is qadar unkī nazar ham se to aṅjān na thī
vo jo milte the kabhī …

ek din thā kabhī yūṇ bhī jo machal jāte the
khelte the merī zulfoṅ se bahal jāte the
vo pareśhāṇ the merī zulf pareśhān na thī
vo jo milte the kabhī …

vo muhabbat vo śharārat mujhe yād ātī hai
dil meṅ ik pyār kā tūfān uṭhā jātī thī
thī magar aisī to uljhan meṅ merī jān na thī
vo jo milte the kabhī …