वो जब याद आए, बहुत याद आए
वो जब याद आए बहुत याद आए
ग़म-ए-ज़िंदगी के अंधेरे में हमने
चिराग-ए-मुहब्बत जलाए बुझाए
आहटें जाग उठीं रास्ते हंस दिये
थामकर दिल उठे हम किसी के लिये
कई बार ऐसा भी धोखा हुआ है
चले आ रहे हैं वो नज़रें झुकाए
दिल सुलगने लगा अश्क़ बहने लगे
जाने क्या-क्या हमें लोग कहने लगे
मगर रोते-रोते हंसी आ गई है
ख़यालों में आके वो जब मुस्कुराए
वो जुदा क्या हुए ज़िंदगी खो गई
शम्मा जलती रही रोशनी खो गई
बहुत कोशिशें कीं मगर दिल न बहला
कई साज़ छेड़े कई गीत गाए
vo jab yād āe bahut yād āe
ġham-e-ziṅdgī ke aṅdhere meṅ hamne
chirāg-e-muhabbat jalāe bujhāe
āhṭeṅ jāg uṭhīṅ rāste haṅs diye
thāmkar dil uṭhe ham kisī ke liye
kaī bār aisā bhī dhokhā huā hai
chale ā rahe haiṅ vo nazreṅ jhukāe
dil sulagne lagā aśhq bahne lage
jāne kyā-kyā hameṅ log kahne lage
magar rote-rote haṅsī ā gaī hai
khayāloṅ meṅ āke vo jab muskurāe
vo judā kyā hue ziṅdgī kho gaī
śhammā jaltī rahī rośhnī kho gaī
bahut kośhiśheṅ kīṅ magar dil na bahlā
kaī sāz chheṛe kaī gīt gāe