Vo chup rahen to mere dil ke daagh jalte hain

वो चुप रहें तो मेरे दिल के दाग़ जलते हैं
Work
Year
Language

वो चुप रहें तो मेरे दिल के दाग़ जलते हैं
जो बात कर लें तो बुझते चराग़ जलते हैं

कहो बुझें के जलें
हम अपनी राह चलें या तुम्हारी राह चलें
कहो बुझें के जलें
बुझें तो ऐसे के किसी ग़रीब का दिल
किसी ग़रीब का दिल
जलें तो ऐसे के जैसे चराग़ जलते हैं

यह खोई खोई नज़र
कभी तो होगी या सदा रहेगी उधर
यह खोई खोई नज़र
उधर तो एक सुलग़ता हुआ है वीराना
है एक वीराना
मगर इधर तो बहारों में बाग़ जलते हैं

जो अश्क़ पी भी लिए
जो होंठ सी भी लिए, तो सितम ये किसपे किए
जो अश्क़ पी भी लिए
कुछ आज अपनी सुनाओ कुछ आज मेरी सुनो
ख़ामोशिओं से तो दिल और दिमाग़ जलते हैं

vo chup raheṅ to mere dil ke dāġh jalte haiṅ
jo bāt kar leṅ to bujhte charāġh jalte haiṅ

kaho bujheṅ ke jaleṅ
ham apnī rāh chaleṅ yā tumhārī rāh chaleṅ
kaho bujheṅ ke jaleṅ
bujheṅ to aise ke kisī ġharīb kā dil
kisī ġharīb kā dil
jaleṅ to aise ke jaise charāġh jalte haiṅ

yah khoī khoī nazar
kabhī to hogī yā sadā rahegī udhar
yah khoī khoī nazar
udhar to ek sulaġhtā huā hai vīrānā
hai ek vīrānā
magar idhar to bahāroṅ meṅ bāġh jalte haiṅ

jo aśhq pī bhī lie
jo hoṅṭh sī bhī lie, to sitam ye kispe kie
jo aśhq pī bhī lie
kuchh āj apnī sunāo kuchh āj merī suno
khāmośhioṅ se to dil aur dimāġh jalte haiṅ