Vo choop rahen to mere dil ke daag jalte hain

वो चूप रहें तो मेरे दिल के दाग जलते हैं
Work
Year
Language

वो चुप रहें तो मेरे दिल के दाग़ जलते हैं
जो बात कर ले तो बुझते चिराग जलते हैं

कहो बुझे के जले
हम अपनी राह चले, या तुम्हारी राह चले
बुझे तो ऐसे के जैसे किसी ग़रीब का दिल
जले तो ऐसे के जैसे चिराग जलते हैं

ये खोयी खोयी नज़र
कभी तो होगी इधर या सदा रहेगी उधर
उधर तो एक सुलगता हुआ है विराना
मगर इधर तो बहारों में बाग जलते हैं

जो अश्क पी भी लिये, जो होंठ सी भी लिये
दो सितम ये किस पे किये
कुछ आज अपनी सूनाओ, कुछ आज मेरी सुनो
खामोशियों से तो दिल और दिमाग जलते हैं

vo chup raheṅ to mere dil ke dāġh jalte haiṅ
jo bāt kar le to bujhte chirāg jalte haiṅ

kaho bujhe ke jale
ham apnī rāh chale, yā tumhārī rāh chale
bujhe to aise ke jaise kisī ġharīb kā dil
jale to aise ke jaise chirāg jalte haiṅ

ye khoyī khoyī nazar
kabhī to hogī idhar yā sadā rahegī udhar
udhar to ek sulagtā huā hai virānā
magar idhar to bahāroṅ meṅ bāg jalte haiṅ

jo aśhk pī bhī liye, jo hoṅṭh sī bhī liye
do sitam ye kis pe kiye
kuchh āj apnī sūnāo, kuchh āj merī suno
khāmośhiyoṅ se to dil aur dimāg jalte haiṅ