Vo chale jhatak ke daaman meree aarazoo mitaa ke

वो चले झटक के दामन मेरी आरज़ू मिटा के
Work
Year
Language

वो चले हाँ वो चले
वो चले झटक के दामन मेरी आरज़ू मिटा के मिटा के
मेरा दिल वो ले गए हैं मुझे राह में बिठा के बिठा के

कोई उनसे इतना कह दे मैं उन्हीं का हो चुका हूँ -2
उन्हें क्‌या मिलेगा आख़िर मुझे इस तरह जला के जला के
वो चले झटक के …

न बुझेगी बादलों से न बुझेगी आँसुओं से -2
मेरे दिल की धड़कनों में गए आग जो लगा के लगा के
वो चले झटक के …

ये क़दम बहक रहे हैं मुझे दो कोई सहारा -2
वो नज़र-नज़र से मुझको गए जाने क्‌या पिला के पिला के
वो चले झटक के …

vo chale hāṇ vo chale
vo chale jhaṭak ke dāman merī ārazū miṭā ke miṭā ke
merā dil vo le gae haiṅ mujhe rāh meṅ biṭhā ke biṭhā ke

koī unse itnā kah de maiṅ unhīṅ kā ho chukā hūṇ -2
unheṅ k‌yā milegā ākhir mujhe is tarah jalā ke jalā ke
vo chale jhaṭak ke …

na bujhegī bādloṅ se na bujhegī āṇsuoṅ se -2
mere dil kī dhaṛaknoṅ meṅ gae āg jo lagā ke lagā ke
vo chale jhaṭak ke …

ye qadam bahak rahe haiṅ mujhe do koī sahārā -2
vo nazar-nazar se mujhko gae jāne k‌yā pilā ke pilā ke
vo chale jhaṭak ke …