( jānam jānam jānam
maiṅ rahūṇ nā rahūṅ tū rahe nā rahe
mar ke bhī judā hoṅge nā ham ) -2
jānam jānam jānam …
tū merī jān hai maiṅ terī jān hūṇ
ek but hūṇ tere binā bejān hūṇ
maiṅ zamāne kī khuśhiyoṅ se anjān hūṇ
ik khuśhī hai mujhe terā armān hai
niklegā ye terī bāṇhoṅ meṅ dam
jānam jānam jānam …
tū nahīṅ pās hotī to lagtā hai ye
khatm hote nahīṅ dard ke silsile
do musāfir judā hoṅ na ek rāh ke
pyār meṅ rab kisī ko judāī nā de
jī rahī hūṇ ye hai terā karam
jānam jānam jānam …
tū milī to muhabbat ke ye sur saje
mujhko āne lage zindgī ke maze
dil kī dhaṛaknoṅ ke ye tār bṇdhne lage
ab ye hasrat hai hāthoṇ meṅ meṅhdī saje
do badan haiṅ ek jān haiṅ ham
jānam jānam jānam …