Vatan kee raah men vatan ke naujvaan shaheed ho

वतन की राह में वतन के नौजवां शहीद हो
Work
Year
Language

वतन की राह में वतन के नौजवां शहीद हो
पुकारते हैं ये ज़मीन-ओ-आसमां शहीद हो

शहीद तेरी मौत ही तेरे वतन की ज़िंदगी
तेरे लहू से जाग उठेगी इस चमन में ज़िंदगी
खिलेंगे फूल उस जगह कि तू जहाँ शहीद हो, वतन की …

गुलाम उठ वतन के दुश्मनों से इंतक़ाम ले
इन अपने दोनों बाजुओं से खंजरों का काम ले
चमन के वास्ते चमन के बाग़बां शहीद हो, वतन की …

पहाड़ तक भी कांपने लगे तेरे जुनून से
तू आसमां पे इन्क़लाब लिख दे अपने खून से
ज़मीं नहीं तेरा वतन है आसमां शहीद हो, वतन की …

वतन की लाज जिसको थी अजीज़ अपनी जान से
वो नौजवान जा रहा है आज कितनी शान से
इस एक जवान की खाक पर हर इक जवां शहीद हो
वतन की …

है कौन खुशनसीब माँ कि जिसका ये चिराग़ है
वो खुशनसीब है कहाँ ये जिसके सर का ताज है
अमर वो देश क्‌यूँ न हो कि तू जहाँ शहीद हो, वतन की …

vatan kī rāh meṅ vatan ke naujvāṅ śhahīd ho
pukārte haiṅ ye zamīn-o-āsmāṅ śhahīd ho

śhahīd terī maut hī tere vatan kī ziṅdgī
tere lahū se jāg uṭhegī is chaman meṅ ziṅdgī
khileṅge phūl us jagah ki tū jahāṇ śhahīd ho, vatan kī …

gulām uṭh vatan ke duśhmnoṅ se iṅtaqām le
in apne donoṅ bājuoṅ se khaṅjroṅ kā kām le
chaman ke vāste chaman ke bāġhbāṅ śhahīd ho, vatan kī …

pahāṛ tak bhī kāṅpne lage tere junūn se
tū āsmāṅ pe inqlāb likh de apne khūn se
zamīṅ nahīṅ terā vatan hai āsmāṅ śhahīd ho, vatan kī …

vatan kī lāj jisko thī ajīz apnī jān se
vo naujvān jā rahā hai āj kitnī śhān se
is ek javān kī khāk par har ik javāṅ śhahīd ho
vatan kī …

hai kaun khuśhansīb māṇ ki jiskā ye chirāġh hai
vo khuśhansīb hai kahāṇ ye jiske sar kā tāj hai
amar vo deśh k‌yūṇ na ho ki tū jahāṇ śhahīd ho, vatan kī …