Vaqt kaa saayaa kisne taalaa hai

वक़्त का साया किसने टाला है
Work
Year
Language

वक़्त का साया किसने टाला है
हो रहेगा जो होने वाला है
वक़्त का साया …

दिन तो ये भी गुज़र जाएगा पर ये लम्हा गुज़रता नहीं
आग ही आग ही आग है फिर क्‌यूँ सूरज पिघलता नहीं
दाग धोने से जाते नहीं दर्द रोने से घटता नहीं
वक़्त का साया …

नींद में सांस लेते तो हैं ख्वाब जागे तो मर जाते हैं
बेबसी है बड़ी बेबसी अपने साए से डर जाते हैं
कौन किससे शिकायत करे जो लिखा है वो मिटता नहीं
वक़्त का साया …

vaqt kā sāyā kisne ṭālā hai
ho rahegā jo hone vālā hai
vaqt kā sāyā …

din to ye bhī guzar jāegā par ye lamhā guzartā nahīṅ
āg hī āg hī āg hai phir k‌yūṇ sūraj pighaltā nahīṅ
dāg dhone se jāte nahīṅ dard rone se ghaṭtā nahīṅ
vaqt kā sāyā …

nīṅd meṅ sāṅs lete to haiṅ khvāb jāge to mar jāte haiṅ
bebsī hai baṛī bebsī apne sāe se ḍar jāte haiṅ
kaun kisse śhikāyat kare jo likhā hai vo miṭtā nahīṅ
vaqt kā sāyā …