vo bijlī haiṅ ham śholā, āj nā jāne kyā hogā
chāṇd se ṭakkar sūraj kī, lo āyā din qayāmat kā
ho ho ho yāroṅ husn kī iśhk se ye pahlī mulākāt hai
ā hā hā vallāh kyā bāt hai, oh ho ho vallāh kyā bāt hai
hote haiṅ kāfir yūṅ to, allāh-allāh kahte haiṅ dilbar jinko
dil ko uṛā leṅ haṅs ke, taubā-taubā ātā hai jādū inko
lekin hamse jo āṇkh milī to, khā gaye vo bhī chakkar
sab nāz vo apne bhūl gaye, aur bhūl gaye sab akaṛ
unko pānī pīnā paṛā, ye hai nāzuk vaqt baṛā
chāṇd se ṭakkar sūraj kī, lo āyā
aisī bhī kyā madhośhī, dekho-dekho hośh nahīṅ āṇchal kā
kahtī hai sāf nigāheṅ, allāh kasam hāl burā hai dil kā
hai bāt abhī to āṇkhoṅ tak, āge zālim kyā hogā
jab dil ko chhū legī najar, jāne ālam kyā hogā
chāṇd se ṭakkar sūraj kī, lo āyā