Vallaah ye larkee naazuk see larkee jise dekhke pyaar aae

वल्लाह ये लड़की नाज़ुक सी लड़की जिसे देखके प्यार आए
Work
Year
Language

वल्लाह ये लड़की नाज़ुक सी लड़की जिसे देखके प्यार आए
जब दो यारों के बीच आ जाए यारी में दरार आए

वल्लाह ये लड़की तौबा तौबा रे
नाज़ुक सी लड़की अरे बाबा रे
जिसे देखके प्यार आए ओ या या या
जब दो यारों के देखो देखो ना
बीच आ जाए सोचो सोचो ना
यारी में दरार आए

ओ गोरी चुराए दिल चोरी चुराए दिल चोरी
वल्लाह ये लड़की …

यूं इसकी नज़र दिलदार भी है फिर जाए तो ये तलवार भी है
इसकी गुलबदनी पर मत जा अरे गुल ही नहीं ये खार भी है
शोला है लेकिन शबनम सी ठंडी जिसे देखके प्यार आए
जब दो यारों के …

करे खेल ये ख़्वाहिशमंदों से हम जैसे कुंवारे बंदों से
दुनिया में अगर कुछ करना है तो दूर ज़रा इन फंदों से
फिर भी ये ज़ालिम ऐसी है दिलकश जिसे देखके प्यार आए
जब दो यारों के …

vallāh ye laṛkī nāzuk sī laṛkī jise dekhke pyār āe
jab do yāroṅ ke bīch ā jāe yārī meṅ darār āe

vallāh ye laṛkī taubā taubā re
nāzuk sī laṛkī are bābā re
jise dekhke pyār āe o yā yā yā
jab do yāroṅ ke dekho dekho nā
bīch ā jāe socho socho nā
yārī meṅ darār āe

o gorī churāe dil chorī churāe dil chorī
vallāh ye laṛkī …

yūṅ iskī nazar dildār bhī hai phir jāe to ye talvār bhī hai
iskī gulbadnī par mat jā are gul hī nahīṅ ye khār bhī hai
śholā hai lekin śhabnam sī ṭhaṅḍī jise dekhke pyār āe
jab do yāroṅ ke …

kare khel ye khvāhiśhmaṅdoṅ se ham jaise kuṅvāre baṅdoṅ se
duniyā meṅ agar kuchh karnā hai to dūr zarā in phaṅdoṅ se
phir bhī ye zālim aisī hai dilkaśh jise dekhke pyār āe
jab do yāroṅ ke …