Vahaan kaun hai teraa, musaafir jaayegaa kahaan

वहाँ कौन है तेरा, मुसाफ़िर जायेगा कहाँ
Work
Year
Language

वहाँ कौन है तेरा, मुसाफ़िर, जायेगा कहाँ
दम लेले घड़ी भर, ये छैयां, पायेगा कहाँ
वहां हौन है तेरा …

बीत गये दिन, प्यार के पलछिन
सपना बनी वो रातें
भूल गये वो, तू भी भुला दे
प्यार की वो मुलाक़ातें - 2
सब दूर अन्धेरा, मुसाफ़िर जायेगा कहाँ …

कोइ भी तेरी, राह न देखे
नैन बिछाये ना कोई
दर्द से तेरे, कोई न तड़पा
आँख किसी की ना रोयी - 2
कहे किसको तू मेरा, मुसाफ़िर जायेगा कहाँ …

कहते हैं ज्ञानी, दुनिया है फ़ानी
पानी पे लिखी लिखायी
है सबकी देखी, है सबकी जानी
हाथ किसीके न आयी - 2
कुछ तेरा ना मेरा, मुसाफ़िर जायेगा कहाँ …

vahāṇ kaun hai terā, musāfir, jāyegā kahāṇ
dam lele ghaṛī bhar, ye chhaiyāṅ, pāyegā kahāṇ
vahāṅ haun hai terā …

bīt gaye din, pyār ke palchhin
sapnā banī vo rāteṅ
bhūl gaye vo, tū bhī bhulā de
pyār kī vo mulāqāteṅ - 2
sab dūr andherā, musāfir jāyegā kahāṇ …

koi bhī terī, rāh na dekhe
nain bichhāye nā koī
dard se tere, koī na taṛpā
āṇkh kisī kī nā royī - 2
kahe kisko tū merā, musāfir jāyegā kahāṇ …

kahte haiṅ jñānī, duniyā hai fānī
pānī pe likhī likhāyī
hai sabkī dekhī, hai sabkī jānī
hāth kisīke na āyī - 2
kuchh terā nā merā, musāfir jāyegā kahāṇ …