वफ़ाएं देख लीं ... सब प्यार की बातें करते हैं
वफ़ाएं देख लीं पत्थर जिगर ज़ालिम ज़माने की
क़सम खाई है अब हमने किसी से दिल लगाने की
सब प्यार की बातें करते हैं पर करना आता प्यार नहीं
है मतलब की दुनिया सारी यहाँ कोई किसी का यार नहीं
किसी को सच्चा प्यार नहीं
सुख में सब आ-आ कर अपने ( रिश्ते-नाते हैं बतलाते ) -2
बुरे दिनों में देखा हमने ( आँख बचा कर हैं जाते ) -2
ठोकर खा कर संभलने वाले जीत है तेरी हार नहीं
है मतलब की दुनिया …
( ऐ बन्दे भगवान से डर ) -2 इन्सान से मत डर
मुहर लगी है उसकी तेरे ( हक़ के दाने-दाने पर ) -2
उसकी मर्ज़ी बिना तेरे चुभ सकता कोई ख़ार नहीं
है मतलब की दुनिया …
vafāeṅ dekh līṅ patthar jigar zālim zamāne kī
qasam khāī hai ab hamne kisī se dil lagāne kī
sab pyār kī bāteṅ karte haiṅ par karnā ātā pyār nahīṅ
hai matalab kī duniyā sārī yahāṇ koī kisī kā yār nahīṅ
kisī ko sachchā pyār nahīṅ
sukh meṅ sab ā-ā kar apne ( riśhte-nāte haiṅ batlāte ) -2
bure dinoṅ meṅ dekhā hamne ( āṇkh bachā kar haiṅ jāte ) -2
ṭhokar khā kar saṅbhalne vāle jīt hai terī hār nahīṅ
hai matalab kī duniyā …
( ai bande bhagvān se ḍar ) -2 insān se mat ḍar
muhar lagī hai uskī tere ( haq ke dāne-dāne par ) -2
uskī marzī binā tere chubh saktā koī khār nahīṅ
hai matalab kī duniyā …