Vaadiyon men kho jaaen ham tum ... ye samaan hai suhaanaa

वादियों में खो जाएं हम तुम ... ये समाँ है सुहाना
Work
Year
Language

वादियों में खो जाएं हम तुम
आओ इन वादियों में खो जाएं ( हम तुम ) -2
ये समाँ है सुहाना
हाँ जी हाँ सुहाना
हो जाएं गुमसुम
आओ इन वादियों में खो जाएं …

मुझे दोनों जहाँ की मिल गई हैं ख़ुशियाँ
तुम जो मिले हमराही मिले
दिल का ये चमन फिर लगा मुस्कुराने
अरमानों के हैं फूल खिले
तुम ही तो हो सहारा
हाँ जी हाँ सहारा
चलते जाएं हम
आओ इन वादियों में खो जाएं …

प्यारा ये समाँ है मौसम भी जवाँ है
चारों तरफ़ हुस्न की दास्ताँ है
मुझे लगता है जैसे हमें देखकर ये
लगा मुस्कराने ज़मीं आसमां है
प्यार में हो के दीवाना
जैसे ये सारा ज़माना
अपनी धुन में ग़ुम
आओ इन वादियों में खो जाएं …

vādiyoṅ meṅ kho jāeṅ ham tum
āo in vādiyoṅ meṅ kho jāeṅ ( ham tum ) -2
ye samāṇ hai suhānā
hāṇ jī hāṇ suhānā
ho jāeṅ gumsum
āo in vādiyoṅ meṅ kho jāeṅ …

mujhe donoṅ jahāṇ kī mil gaī haiṅ khuśhiyāṇ
tum jo mile hamrāhī mile
dil kā ye chaman phir lagā muskurāne
armānoṅ ke haiṅ phūl khile
tum hī to ho sahārā
hāṇ jī hāṇ sahārā
chalte jāeṅ ham
āo in vādiyoṅ meṅ kho jāeṅ …

pyārā ye samāṇ hai mausam bhī javāṇ hai
chāroṅ taraf husn kī dāstāṇ hai
mujhe lagtā hai jaise hameṅ dekhkar ye
lagā muskrāne zamīṅ āsmāṅ hai
pyār meṅ ho ke dīvānā
jaise ye sārā zamānā
apnī dhun meṅ ġhum
āo in vādiyoṅ meṅ kho jāeṅ …