Vaadaa karo jaanam na chhorenge ye daaman

वादा करो जानम न छोड़ेंगे ये दामन्
Year
Language

कि: वादा करो जानम न छोड़ेंगे ये दामन ज़माना चाहे छूटे
बाँधी है जो दिल में अब ये डोर ज़िन्दगी भर न टूटे
ल: वादा करो जानम …

कि: बदलें न हम तुम कभी रुत ये बदलती रहे
दो दिलों की ये बात चलती ही रहे
ल: ओ आके बहारों की छाँव जाती रहे ढलती रहे
ना फिरे ये नज़र दिल से दिल न रूठे
ज़माना चाहे छूटे
कि: वादा करो जानम …

ल: होने देंगे न ऐसा हम कल को ज़माना कहे
यूँ करें प्यार का नाम दुनिया याद करे
कि: हमपे गिरें बिजलियाँ आँधी के तूफ़ाँ चलें
हाथों से ये तेरा आँचल अब न छूटे
ज़माना चाहे छूटे
ल: वादा करो जानम …

ki: vādā karo jānam na chhoṛeṅge ye dāman zamānā chāhe chhūṭe
bāṇdhī hai jo dil meṅ ab ye ḍor zindgī bhar na ṭūṭe
la: vādā karo jānam …

ki: badleṅ na ham tum kabhī rut ye badaltī rahe
do diloṅ kī ye bāt chaltī hī rahe
la: o āke bahāroṅ kī chhāṇv jātī rahe ḍhaltī rahe
nā phire ye nazar dil se dil na rūṭhe
zamānā chāhe chhūṭe
ki: vādā karo jānam …

la: hone deṅge na aisā ham kal ko zamānā kahe
yūṇ kareṅ pyār kā nām duniyā yād kare
ki: hampe gireṅ bijliyāṇ āṇdhī ke tūfāṇ chaleṅ
hāthoṅ se ye terā āṇchal ab na chhūṭe
zamānā chāhe chhūṭe
la: vādā karo jānam …