उठती नहीं हैं यूं ही तुमसे नशीली पलकें
उठती नहीं हैं यूं ही तुमसे नशीली पलकें
काजल का बोझ कैसे फिर तुम उठा सकोगी
काजल का बोझ …
क्यूं सामने है दर्पन क़ातिल तेरी नज़र के
जाना है आज तुमको आखिर कहां संवर के
ज़ुल्फ़ों में फूल टांको कलियों से मांग भर लो
लेकिन कसम ख़ुदा की आँचल न रखना सर पे
शरम-ओ-हया से यूं ही गर्दन झुकी झुकी है
आँचल का बोझ कैसे फिर तुम उठा सकोगी
उठती नहीं हैं …
हम जानते हैं ज़ालिम सब भेद तेरे मन के
तड़पा लो चाहे जितना मासूम हमको बन के
नाज़-ओ-अदा से देखो हमको तबाह कर दो
खुद पर सितम न करना पायल मगर पहन के
नाज़ुक कदम से यूं ही चलती हो डगमगाकर
पायल का बोझ कैसे फिर तुम उठा सकोगी
उठती नहीं हैं …
uṭhtī nahīṅ haiṅ yūṅ hī tumse naśhīlī palkeṅ
kājal kā bojh kaise phir tum uṭhā sakogī
kājal kā bojh …
kyūṅ sāmne hai darpan qātil terī nazar ke
jānā hai āj tumko ākhir kahāṅ saṅvar ke
zulfoṅ meṅ phūl ṭāṅko kaliyoṅ se māṅg bhar lo
lekin kasam khudā kī āṇchal na rakhnā sar pe
śharam-o-hayā se yūṅ hī gardan jhukī jhukī hai
āṇchal kā bojh kaise phir tum uṭhā sakogī
uṭhtī nahīṅ haiṅ …
ham jānte haiṅ zālim sab bhed tere man ke
taṛpā lo chāhe jitnā māsūm hamko ban ke
nāz-o-adā se dekho hamko tabāh kar do
khud par sitam na karnā pāyal magar pahan ke
nāzuk kadam se yūṅ hī chaltī ho ḍagamgākar
pāyal kā bojh kaise phir tum uṭhā sakogī
uṭhtī nahīṅ haiṅ …