Uthaa le jaaoongaa tujhe main dolee men ... tum ko mujh se pyaar hai

उठा ले जाऊँगा तुझे मैं डोली में ... तुम को मुझ से प्यार है
Year
Language

उठा ले जाऊँगा तुझे मैं डोली में
देखती रह जाएँगी सखियाँ तुम्हारी
तुम को मुझ से प्यार है प्यार है प्यार

तेरे घर आऊँगी दुल्हन बन जाऊँगी
अकेली रह जाएँगी सखियाँ बेचारी
तुम को मुझ से प्यार है प्यार है प्यार
उठा ले जाऊँगा …

ओ आ ओ आ

बजेगी ढोलक बजेंगे ताशे मेरी सगाई में
कभी तो खनकेगी मेरी चूड़ी तेरी कलाई में
सनम हथेली में तेरी मेहंदी लगा के बैठूँगी
तेरी मुहब्बत की शोख बिंदिया सजा के बैठूँगी
तेरा इन्तज़ार है प्यार है प्यार
उठा ले जाऊँगा …

चुना है तुम को दीवाने दिल ने इसे न तड़पाओ
जवान मौसम गुज़र न जाए करीब आ जाओ
सजन जुदाई भला यूँ कब तक हमें सताएगी
तू सब्र कर ले घड़ी मिलन की ज़रूर आएगी
मुझे ऐतबार है प्यार है प्यार
उठा ले जाऊँगा …

ओ आ ओ आ

uṭhā le jāūṇgā tujhe maiṅ ḍolī meṅ
dekhtī rah jāeṇgī sakhiyāṇ tumhārī
tum ko mujh se pyār hai pyār hai pyār

tere ghar āūṇgī dulhan ban jāūṇgī
akelī rah jāeṇgī sakhiyāṇ bechārī
tum ko mujh se pyār hai pyār hai pyār
uṭhā le jāūṇgā …

o ā o ā

bajegī ḍholak bajeṅge tāśhe merī sagāī meṅ
kabhī to khankegī merī chūṛī terī kalāī meṅ
sanam hathelī meṅ terī mehaṅdī lagā ke baiṭhūṇgī
terī muhabbat kī śhokh biṅdiyā sajā ke baiṭhūṇgī
terā intazār hai pyār hai pyār
uṭhā le jāūṇgā …

chunā hai tum ko dīvāne dil ne ise na taṛpāo
javān mausam guzar na jāe karīb ā jāo
sajan judāī bhalā yūṇ kab tak hameṅ satāegī
tū sabr kar le ghaṛī milan kī zarūr āegī
mujhe aitbār hai pyār hai pyār
uṭhā le jāūṇgā …

o ā o ā