Title (Indic)ज़रा बोलो क्या लोगी इस दिल का किराया WorkUss Paar Year1944 LanguageHindi Credits Role Artist Music Firoz Nijami Performer Kusum Performer Mukesh Writer Pt. Madhur LyricsHindiमु: ज़रा बोलो री हाँ ज़रा बोलो क्या लोगी इस दिल का किराया ज़रा बोलो … इस मुम्बई में खाली इक room नहीं है और पगड़ी है करती जेबों का सफ़ाया रुपयों का सफ़ाया नोटों का सफ़ाया ज़रा बोलो … कु: मेरे दिल की कोठरिया हो दिल की कोठरिया To let नहीं है इसको बनिए ने ग़ुड़ का गोदाम बनाया मु: ज़रा बोलो … जब गुड़ है तो चूहों की दौड़ रहेगी तेरी और बनिए की जोड़ी बेजोड़ रहेगी उस बनिए ने कितना भाड़ा है चुकाया ज़रा बोलो … female: गुजराती कहते सौ पंजाबी कहते सौ-सौ के पाँच नोट लो और बीकानेरी कहते हमसे पाँच हज़ार लो शिकारपुरी कहते हैं मुझसे जो चाहो सो लो कु: लेकिन ( कोठरिया दो ) -2 तुम्हीं सोचो इस पगड़ी ने मेरा है ( मोल बढ़ाया ) -2 मु: ज़रा बोलो … Englishmu: zarā bolo rī hāṇ zarā bolo kyā logī is dil kā kirāyā zarā bolo … is mumbaī meṅ khālī ik room nahīṅ hai aur pagaṛī hai kartī jeboṅ kā safāyā rupyoṅ kā safāyā noṭoṅ kā safāyā zarā bolo … ku: mere dil kī koṭhriyā ho dil kī koṭhriyā To let nahīṅ hai isko banie ne ġhuṛ kā godām banāyā mu: zarā bolo … jab guṛ hai to chūhoṅ kī dauṛ rahegī terī aur banie kī joṛī bejoṛ rahegī us banie ne kitnā bhāṛā hai chukāyā zarā bolo … female: gujrātī kahte sau paṅjābī kahte sau-sau ke pāṇch noṭ lo aur bīkānerī kahte hamse pāṇch hazār lo śhikārpurī kahte haiṅ mujhse jo chāho so lo ku: lekin ( koṭhriyā do ) -2 tumhīṅ socho is pagaṛī ne merā hai ( mol baṛhāyā ) -2 mu: zarā bolo …