Uske sivaa kuchh yaad naheen ... main mast he mast

उसके सिवा कुछ याद नहीं ... मैं मस्त हे मस्त्
Work
Year
Language

उसके सिवा कुछ याद नहीं उसके सिवा कोई बात नहीं
उन ज़ुल्फ़ों की छांवों में उन गहरी निगाहों में
उन क़ातिल अदाओं में
हुआ हुआ हुआ मैं मस्त हे मस्त हे मस्त मैं मस्त

उस रूप में मैं मस्त हूँ उस रंग में मैं मस्त हूँ
उसका नशा मैं क्‌या कहूँ हर लम्हा मैं मस्त हूँ
वो दौड़े है नस नस में वो दौड़े है रग रग में
अब कुछ ना मेरे बस में
हुआ हुआ हुआ मैं …

उसकी खबर उसका पता बाकी सभी हैं लापता
उसका हो दिल मेरा पता मुझको पता रब को पता
चलती है तेरी साँसें उसका नाम ले ले के
दिल से आती हैं आवाज़ें
हुआ हुआ हुआ मैं …
तेरे सिवा कुछ याद नहीं तेरे सिवा कोई बात नहीं
आँखों में तेरे सपने होंठों पे तेरे नग़मे
दिल मेरा लगे कहने
हुई हुई हुई मैं मस्त हे मस्त ओ मस्त हे मस्त

तू है यहीं तू साथ है ये प्यार के जज़्बात हैं
तेरी कहूँ तेरी सुनूं मेरे यही हालात हैं
रग रग में जवानी है तेरी ही कहानी है
तुझको ही बतानी हैं
हुई हुई हुई मैं …

तू है यहां तू है वहां मेरी नज़र जाए जहां
तुझे चाहती हूँ इस तरह मैं जानूं ना के किस तरह
साया बन के रहती हूँ हरदम मैं तेरे पीछे
कहती हूँ कोई पूछे
हुई हुई हुई मैं …

uske sivā kuchh yād nahīṅ uske sivā koī bāt nahīṅ
un zulfoṅ kī chhāṅvoṅ meṅ un gahrī nigāhoṅ meṅ
un qātil adāoṅ meṅ
huā huā huā maiṅ mast he mast he mast maiṅ mast

us rūp meṅ maiṅ mast hūṇ us raṅg meṅ maiṅ mast hūṇ
uskā naśhā maiṅ k‌yā kahūṇ har lamhā maiṅ mast hūṇ
vo dauṛe hai nas nas meṅ vo dauṛe hai rag rag meṅ
ab kuchh nā mere bas meṅ
huā huā huā maiṅ …

uskī khabar uskā patā bākī sabhī haiṅ lāptā
uskā ho dil merā patā mujhko patā rab ko patā
chaltī hai terī sāṇseṅ uskā nām le le ke
dil se ātī haiṅ āvāzeṅ
huā huā huā maiṅ …
tere sivā kuchh yād nahīṅ tere sivā koī bāt nahīṅ
āṇkhoṅ meṅ tere sapne hoṅṭhoṅ pe tere naġhme
dil merā lage kahne
huī huī huī maiṅ mast he mast o mast he mast

tū hai yahīṅ tū sāth hai ye pyār ke jazbāt haiṅ
terī kahūṇ terī sunūṅ mere yahī hālāt haiṅ
rag rag meṅ javānī hai terī hī kahānī hai
tujhko hī batānī haiṅ
huī huī huī maiṅ …

tū hai yahāṅ tū hai vahāṅ merī nazar jāe jahāṅ
tujhe chāhtī hūṇ is tarah maiṅ jānūṅ nā ke kis tarah
sāyā ban ke rahtī hūṇ hardam maiṅ tere pīchhe
kahtī hūṇ koī pūchhe
huī huī huī maiṅ …