Us ko naheen dekhaa ham ne kabhee, par iskee zaroorat k‌yaa hogee

उस को नहीं देखा हम ने कभी, पर इसकी ज़रूरत क्‌या होगी
Work
Year
Language

महे: उस को नहीं देखा हमने कभी
पर इसकी ज़रूरत क्‌या होगी
दोनो: ऐ माँ, ऐ माँ तेरी सूरत से अलग
भगवान की सूरत क्‌या होगी, क्‌या होगी
उस को नहीं देखा हमने कभी…

मन: इनसान तो क्‌या देवता भी
आँचल में पले तेरे
है स्वर्ग इसी दुनिया में
कदमों के तले तेरे
ममता ही लुटाये जिसके नयन, हो…
दोनो: ममता ही लुटाये जिसके नयन
ऐसी कोई मूरत क्‌या होगी
ऐ माँ, ऐ माँ तेरी…

महे: क्‌यों धूप जलाये दुखों की
क्‌यों ग़म की घटा बरसे
ये हाथ दुआओं वाले
रहते हैं सदा सर पे
तू है तो अंधेरे पथ में हमें, हो…
दोनो: तू है तो अंधेरे पथ में हमें
सूरज की ज़रूरत क्‌या होगी
ऐ माँ, ऐ माँ तेरी…

दोनो: कहते हैं तेरी शान में जो
कोई ऊँचे बोल नहीं
भगवान के पास भी माता
तेरे प्यार का मोल नहीं
हम तो यही जाने तुझसे बड़ी, हो…
हम तो यही जाने तुझसे बड़ी
संसार की दौलत क्‌या होगी
ऐ माँ, ऐ माँ तेरी…

mahe: us ko nahīṅ dekhā hamne kabhī
par iskī zarūrat k‌yā hogī
dono: ai māṇ, ai māṇ terī sūrat se alag
bhagvān kī sūrat k‌yā hogī, k‌yā hogī
us ko nahīṅ dekhā hamne kabhī…

man: insān to k‌yā devtā bhī
āṇchal meṅ pale tere
hai svarg isī duniyā meṅ
kadmoṅ ke tale tere
mamtā hī luṭāye jiske nayan, ho…
dono: mamtā hī luṭāye jiske nayan
aisī koī mūrat k‌yā hogī
ai māṇ, ai māṇ terī…

mahe: k‌yoṅ dhūp jalāye dukhoṅ kī
k‌yoṅ ġham kī ghaṭā barse
ye hāth duāoṅ vāle
rahte haiṅ sadā sar pe
tū hai to aṅdhere path meṅ hameṅ, ho…
dono: tū hai to aṅdhere path meṅ hameṅ
sūraj kī zarūrat k‌yā hogī
ai māṇ, ai māṇ terī…

dono: kahte haiṅ terī śhān meṅ jo
koī ūṇche bol nahīṅ
bhagvān ke pās bhī mātā
tere pyār kā mol nahīṅ
ham to yahī jāne tujhse baṛī, ho…
ham to yahī jāne tujhse baṛī
saṅsār kī daulat k‌yā hogī
ai māṇ, ai māṇ terī…