उनके लबों पे है खामोशी मेरी ज़ुबां इज़हार करे
उनके लबों पे है खामोशी मेरी ज़ुबां इज़हार करे
दिल को यकीं है चुप रहकर वो बेहद मुझसे प्यार करे
उनके लबों पे …
खामोश सी इक प्यास हो तुम
करती हो हर पल तुम होश गुम
ये चेहरा शरम से सिमटता हुआ
ये आँचल बदन से लिपटता हुआ
ये ज़ुल्फ़ों के बादल बिखरते हुए
ये साँसों के तूफ़ां महकते हुए
पलपल गुमसुम हरपल गुमसुम
ऐसे में जाना तेरा पास आना मुझको करे बेकरार हो
उनके लबों पे …
मैने तुम्हें अपना ही समझा
कुछ भी न सोचा इसके सिवा
मेरी जां रहो तुम मेरे रूबरू
ये मौसम कहेगा मेरी आरज़ू
धड़कता है ये दिल तुम्हारे लिए
ये कह दो हैं कुछ पल हमारे लिए
तुमसे मेरी सारी खुशियाँ
इस आसमां में सारे जहाँ में
तुम हो मेरे ऐतबार हो
उनके लबों पे …
unke laboṅ pe hai khāmośhī merī zubāṅ izhār kare
dil ko yakīṅ hai chup rahkar vo behad mujhse pyār kare
unke laboṅ pe …
khāmośh sī ik pyās ho tum
kartī ho har pal tum hośh gum
ye chehrā śharam se simaṭtā huā
ye āṇchal badan se lipaṭtā huā
ye zulfoṅ ke bādal bikharte hue
ye sāṇsoṅ ke tūfāṅ mahakte hue
palpal gumsum harpal gumsum
aise meṅ jānā terā pās ānā mujhko kare bekrār ho
unke laboṅ pe …
maine tumheṅ apnā hī samjhā
kuchh bhī na sochā iske sivā
merī jāṅ raho tum mere rūbrū
ye mausam kahegā merī ārazū
dhaṛaktā hai ye dil tumhāre lie
ye kah do haiṅ kuchh pal hamāre lie
tumse merī sārī khuśhiyāṇ
is āsmāṅ meṅ sāre jahāṇ meṅ
tum ho mere aitbār ho
unke laboṅ pe …