Un kaa barhaa jo haath yahaan dil lutaa diyaa

उन का बढ़ा जो हाथ यहाँ दिल लुटा दिया
Work
Year
Language

वो सादगी कहें इसे, दीवानगी कहें
उन का बढ़ा जो हाथ यहाँ दिल लुटा दिया

आँचल कि ओट हो न हो अब नसीब में, अब नसीन में
मैंने चराग़ आज हवा में जला दिया
उन का बढ़ा जो हाथ यहाँ दिल लुटा दिया

ये कौन सोचता है के सजदा क़ुबूल हो, सजदा क़ुबूल हो
ये कौन सोचता है कहाँ, सर झुका दिया
उन का बढ़ा जो हाथ यहाँ दिल लुटा दिया

पहले पहल के दर्द की लज़्ज़त न पूछिये, लज़्ज़त न पूछिये
उठी जो दिल में हूक तो, मैं मुस्कुरा दिया
उन का बढ़ा जो हाथ यहाँ दिल लुटा दिया

vo sādgī kaheṅ ise, dīvāngī kaheṅ
un kā baṛhā jo hāth yahāṇ dil luṭā diyā

āṇchal ki oṭ ho na ho ab nasīb meṅ, ab nasīn meṅ
maiṅne charāġh āj havā meṅ jalā diyā
un kā baṛhā jo hāth yahāṇ dil luṭā diyā

ye kaun sochtā hai ke sajdā qubūl ho, sajdā qubūl ho
ye kaun sochtā hai kahāṇ, sar jhukā diyā
un kā baṛhā jo hāth yahāṇ dil luṭā diyā

pahle pahal ke dard kī lazazat na pūchhiye, lazazat na pūchhiye
uṭhī jo dil meṅ hūk to, maiṅ muskurā diyā
un kā baṛhā jo hāth yahāṇ dil luṭā diyā