उमड़ी नदिया प्यार की ... जवानी तेरे नाम कर दी
आ: उमड़ी नदिया प्यार की चली किनारा तोड़
सबसे रिश्ता तोड़ के मैने तुझसे लिया दिल जोड़
कोई मर्द मिला न ऐसा बाँका जवान तेरे जैसा
मेरी कोरी क्वांरी जवानी हुई तेरी दीवानी
जवानी तेरे नाम कर दी -2
मो: कोई मिली न गोरी ऐसी प्रेम दीवानी तेरे जैसी
मेरे दिल को है ये हैरानी
क्यों कोरी जवानी मेरे नाम कर दी
आ: जब से देखी तेरी सूरत प्यार जिया में जागे
इक परदेसी हो के भी तू क्यों अपना सा लागे
मो: प्यार किसी से कब हो जाए यह कोई ना जाने
सूरत अजनबी हो फिर भी दिल को दिल पहचाने
आ: तुझको मान लिया है सैंया बढ़के थाम ले मेरी बहियां
तेरी मेरी यह प्रेम कहानी ज़माने ने जानी
जवानी तेरे नाम कर दी …
आ: प्रीत सुहागन हो गई मेरी प्यार मिला जो तेरा
तेरी बाहों के साये में बीते जीवन मेरा
मो: ऐसी जिसकी महबूबा हो उसकी क़िस्मत जागे
उसको पाके दिल दीवाना क़िस्मत से क्या मांगे
आ: तेरे ही सपनों में खो के जीना है बस तेरी हो के
तेरे प्यार की मेंहदी रचा के ये मांग सजा के
जवानी तेरे नाम कर दी …
ā: umaṛī nadiyā pyār kī chalī kinārā toṛ
sabse riśhtā toṛ ke maine tujhse liyā dil joṛ
koī mard milā na aisā bāṇkā javān tere jaisā
merī korī kvāṅrī javānī huī terī dīvānī
javānī tere nām kar dī -2
mo: koī milī na gorī aisī prem dīvānī tere jaisī
mere dil ko hai ye hairānī
kyoṅ korī javānī mere nām kar dī
ā: jab se dekhī terī sūrat pyār jiyā meṅ jāge
ik pardesī ho ke bhī tū kyoṅ apnā sā lāge
mo: pyār kisī se kab ho jāe yah koī nā jāne
sūrat ajanbī ho phir bhī dil ko dil pahchāne
ā: tujhko mān liyā hai saiṅyā baṛhke thām le merī bahiyāṅ
terī merī yah prem kahānī zamāne ne jānī
javānī tere nām kar dī …
ā: prīt suhāgan ho gaī merī pyār milā jo terā
terī bāhoṅ ke sāye meṅ bīte jīvan merā
mo: aisī jiskī mahbūbā ho uskī qismat jāge
usko pāke dil dīvānā qismat se kyā māṅge
ā: tere hī sapnoṅ meṅ kho ke jīnā hai bas terī ho ke
tere pyār kī meṅhdī rachā ke ye māṅg sajā ke
javānī tere nām kar dī …