duniyā vāloṅ se dūr, jalne vāloṅ se dūr
ājā ājā chaleṅ, kahīṅ dūr, kahīṅ dūr, kahīṅ dūr
ye pyār kā jahāṇ hai, har dil pe maharbāṇ hai
kuchh aur ye zamīṅ hai, kuchh aur āsmāṇ hai
na zulm kā niśhāṇ hai, na ġham kī dāstāṇ hai
har koī jisko samjhe, vo pyār kī zubāṇ hai
duniyā vāloṅ se dūr …
ulfat kī rāginī meṅ, mastānī bekhudī meṅ
so jāyeṅge do dil, ulfat kī chāṇdnī meṅ
phir kyā karegī duniyā, jal jal maregī duniyā
tāroṅ meṅ do sitāre dekhā karegī duniyā
duniyā vāloṅ se dūr …
hāthoṅ meṅ hāth ḍale, khud ko bhī na sambhāle
nikleṅge ham jidhar se, ho jāyeṅge ujāle
chandā kahegā hṇskar, sīne pe hāth rakh kar
vo jā rahe haiṅ dekho, do pyār karne vāle
duniyā vāloṅ se dūr …