Uee maan uee uee ... mere saajan tohe bhookh lage to ... rasgullaa ban jaaoongee

उई माँ उई उई ... मेरे साजन तोहे भूख लगे तो ... रसगुल्ला बन जाऊंगी
Work
Year
Language

उई माँ उई उई उई उई उई उई उई मुई छुई
ओ मेरे साजन तोहे भूख लगे तो
पूरी कचौरी रसगुल्ला बन जाऊंगी
मोरे सजन तुझे प्यास लगे तो
coffee हो लस्सी फ़लूदा बन जाऊंगी
उई माँ …

मोरे सजन तोहे नींद लगे तो
तकिया बिछौना रजाई बन जाऊंगी
मोरे सजन तू जो ख़्वाब में देखे
चम्पा चमेली ग़ुलाब बन जाऊंगी
मोरे सजन तोहे दर्द उठा तो
गोली injection दवाई बन जाऊंगी
उई माँ …

मोरे सजन तू चाहे बजाना
तबला सारंगी गिटार बन जाऊंगी
मोरे सजन तू जो साथ में गाए
ठुमरी कव्वाली ग़ज़ल बन जाऊंगी
मोरे सजन तू जो साथ में नाचे
डिस्को हो भांगड़ा कथक बन जाऊंगी
उई माँ …

मोरे सजन तू जो प्यार करे तो
मोहनी लैला ओ हीर बन जाऊंगी
मोरे सजन तू जो मांग भरे तो
नई नवेली दुल्हन बन जाऊंगी
मोरे सजन मेरा ज़ोर चले तो
रानी सेठानी घरवाली बन जाऊंगी
उई माँ …

uī māṇ uī uī uī uī uī uī uī muī chhuī
o mere sājan tohe bhūkh lage to
pūrī kachaurī rasgullā ban jāūṅgī
more sajan tujhe pyās lage to
coffee ho lassī falūdā ban jāūṅgī
uī māṇ …

more sajan tohe nīṅd lage to
takiyā bichhaunā rajāī ban jāūṅgī
more sajan tū jo khvāb meṅ dekhe
champā chamelī ġhulāb ban jāūṅgī
more sajan tohe dard uṭhā to
golī injection davāī ban jāūṅgī
uī māṇ …

more sajan tū chāhe bajānā
tablā sāraṅgī giṭār ban jāūṅgī
more sajan tū jo sāth meṅ gāe
ṭhumrī kavvālī ġhazal ban jāūṅgī
more sajan tū jo sāth meṅ nāche
ḍisko ho bhāṅgaṛā kathak ban jāūṅgī
uī māṇ …

more sajan tū jo pyār kare to
mohnī lailā o hīr ban jāūṅgī
more sajan tū jo māṅg bhare to
naī navelī dulhan ban jāūṅgī
more sajan merā zor chale to
rānī seṭhānī gharvālī ban jāūṅgī
uī māṇ …