Uee itnee baree mahafil aur ik dil, kisko doon

उई इतनी बड़ी महफ़िल और इक दिल, किसको दूँ
Year
Language

उई इतनी बड़ी महफ़िल और इक दिल किसको दूँ
दिल किसको दूँ?
ये दिल, ये वो दिल जिसको पाला था हमने बड़े नाज़ से
कोई तो बताये कोई समझाये दिल इसको दूँ
या उसको दूँ?

है यहाँ आज तो एक धूम परवानो में
फँस गयी जाँ मेरी बेशुमार दीवानो में
रोके हैं लोग राहें मेरी
थामे हसीन बाहें मेरी
उई, तन के ये उजले मन के ये काले दिल इसको दूँ
या उसको दूँ

जब मिले इक नज़र, इक नज़र से बिजली गिरे
मैं जहाँ चल पड़ूँ मेरे साथ दूनियाँ चले
मुशकिल तो ये है किसकी सुनूँ
अपना यहाँ पे किसकू चुनूँ
उई, रूप के लुटेरे प्यार न जाने दिल इसको दूँ
या उसको दूँ …

uī itnī baṛī mahafil aur ik dil kisko dūṇ
dil kisko dūṇ?
ye dil, ye vo dil jisko pālā thā hamne baṛe nāz se
koī to batāye koī samjhāye dil isko dūṇ
yā usko dūṇ?

hai yahāṇ āj to ek dhūm parvāno meṅ
phṇs gayī jāṇ merī beśhumār dīvāno meṅ
roke haiṅ log rāheṅ merī
thāme hasīn bāheṅ merī
uī, tan ke ye ujle man ke ye kāle dil isko dūṇ
yā usko dūṇ

jab mile ik nazar, ik nazar se bijlī gire
maiṅ jahāṇ chal paṛūṇ mere sāth dūniyāṇ chale
muśhkil to ye hai kiskī sunūṇ
apnā yahāṇ pe kiskū chunūṇ
uī, rūp ke luṭere pyār na jāne dil isko dūṇ
yā usko dūṇ …