तुन तुना ... कभी खोले न तिजोरी का ताला
तुन तुना -3
कभी खोले न तिजोरी का ताला
हाँ मेरा ससुरा बड़ा पैसे वाला
कब निकलेगा इसका दीवाला
मेरा ससुरा …
हट जाओ मत शोर करो ससुरे को मत bore करो
ससुरा अच्छा बन्दा है माना काला धन्धा है
ऊँची मिल का मालिक है छोटे दिल का मालिक है
इतना धन कैसे आया मैं बोलूँ ऐसे आया
लेकर नाम नसीबों का चूसा ख़ून ग़रीबों का
साधू बन कर ये डाका डाला
हाँ मेरा ससुरा …
मिलिए अब इस गोरी से मेरी प्रेम-चकोरी से
कैसी प्यारी लगती है अबला नारी लगती है
गाँव को धोखा दे आई मुझको शहर में ले आई
कद की थोड़ी छोटी है पर शतरंज की गोटी है
ऐसी चाल ये चलती है कहते जान निकलती है
कैसी औरत से पड़ गया पाला
हाँ मेरा ससुरा …
अब तुम पूछो कौन है ये कितनी देर से मौन है ये
ये सेवक है स्वामी का रिश्तेदार है Tomy का
करछी है ना करछा है ये छोटा सा चमचा है
कुत्ते सा पीछे दौड़े पकड़े तो फिर ना छोड़े
अच्छा इसका काम नहीं पर ये नमक-हराम नहीं
चोरों के माल का ये रखवाला
हाँ मेरा ससुरा …
tun tunā -3
kabhī khole na tijorī kā tālā
hāṇ merā sasurā baṛā paise vālā
kab niklegā iskā dīvālā
merā sasurā …
haṭ jāo mat śhor karo sasure ko mat bore karo
sasurā achchhā bandā hai mānā kālā dhandhā hai
ūṇchī mil kā mālik hai chhoṭe dil kā mālik hai
itnā dhan kaise āyā maiṅ bolūṇ aise āyā
lekar nām nasīboṅ kā chūsā khūn ġharīboṅ kā
sādhū ban kar ye ḍākā ḍālā
hāṇ merā sasurā …
milie ab is gorī se merī prem-chakorī se
kaisī pyārī lagtī hai ablā nārī lagtī hai
gāṇv ko dhokhā de āī mujhko śhahar meṅ le āī
kad kī thoṛī chhoṭī hai par śhataraṅj kī goṭī hai
aisī chāl ye chaltī hai kahte jān nikaltī hai
kaisī aurat se paṛ gayā pālā
hāṇ merā sasurā …
ab tum pūchho kaun hai ye kitnī der se maun hai ye
ye sevak hai svāmī kā riśhtedār hai Tomy kā
karchhī hai nā karchhā hai ye chhoṭā sā chamchā hai
kutte sā pīchhe dauṛe pakaṛe to phir nā chhoṛe
achchhā iskā kām nahīṅ par ye namak-harām nahīṅ
choroṅ ke māl kā ye rakhvālā
hāṇ merā sasurā …