Tumse thoda sa door hoon

तुमसे थोड़ा सा दूर हूँ थोड़ा सा क़रीब्
Year
Language

तुमसे थोड़ा सा दूर हूँ थोड़ा सा क़रीब हूँ
और मेरे और पास आ जा ओ मेरी दिलरुबा ओ मेरी जान-ए-जाँ

बीच में हम दोनों के ये कैसी दीवार
आ बाँहों में आ जा कर लूँ मैं तुमसे प्यार
अब नहीं होता मुझसे जान-ए-जां इक पल भी इंतज़ार
तुमसे थोड़ा सा …

कितने पास हैं हम तुम फिर भी कितनी दूर
दो दिल अब मिलने को हैं कितने मजबूर
तुझमें खो जाने की तमन्ना है ओ मेरे हुज़ूर
तुमसे थोड़ा सा …

दिल के इन ज़ख़्मों को कैसे दिखलाऊँगा
बेचैनी के मारे मैं ना मर जाऊँगा
आ जा दिलबर मेरे साए से तेरे मैं लिपट जाऊँ
तुमसे थोड़ा सा …

tumse thoṛā sā dūr hūṇ thoṛā sā qarīb hūṇ
aur mere aur pās ā jā o merī dilrubā o merī jān-e-jāṇ

bīch meṅ ham donoṅ ke ye kaisī dīvār
ā bāṇhoṅ meṅ ā jā kar lūṇ maiṅ tumse pyār
ab nahīṅ hotā mujhse jān-e-jāṅ ik pal bhī iṅtazār
tumse thoṛā sā …

kitne pās haiṅ ham tum phir bhī kitnī dūr
do dil ab milne ko haiṅ kitne majbūr
tujhmeṅ kho jāne kī tamannā hai o mere huzūr
tumse thoṛā sā …

dil ke in zakhmoṅ ko kaise dikhlāūṇgā
bechainī ke māre maiṅ nā mar jāūṇgā
ā jā dilbar mere sāe se tere maiṅ lipaṭ jāūṇ
tumse thoṛā sā …