Tumse pyaar ho gayaa ... dil men ho pyaar to duniyaa kee

तुमसे प्यार हो गया ... दिल में हो प्यार तो दुनिया की
Work
Year
Language

कु: तुमसे प्यार हो गया
अ: तो तो
कु: दिल हमको दे दो
अ: लो लो

अ: तुमसे प्यार हो गया
कु: तो तो
अ: दिल हमको दे दो
कु: लो लो

अ: दिल में हो प्यार तो दुनिया की हर चीज़ सुहानी लगती है -2
( जीने का मज़ा ) -2 आता है सनम जब उम्र-ए-जवानी लगती है
कु: तुमसे प्यार हो गया …

कु: ज़िंदगी कुछ नहीं अशिक़ी के बिना -2
फूल खिलता नहीं है कली के बिना
अ: मेरी पूजा अधूरी रहेगी सनम -2
ऐ सनम तेरी बन्दगी के बिना
कु: हाँ सनम बस तेरी बन्दगी के बिना
अ: अब तो ज़िंदगी से -2
बढ़ के भी -2 ये प्यार की कहानी लगती है
कु: दिल में हो प्यार …

अ: रंग भरने लगे दिल के जज़्बात में -2
हाथ आया जो तेरा मेरे हाथ में
कु: मैं तेरा हो गया बात ही बात में -2
प्यार बढ़ने लगा हर मुलाक़ात में
अ: प्यार बढ़ने लगा …
कु: दो दिन का मिलन
दो दिन का मिलन भी चाहत में -2
सदियों की कहानी लगती है
अ: दिल में हो प्यार …

ku: tumse pyār ho gayā
a: to to
ku: dil hamko de do
a: lo lo

a: tumse pyār ho gayā
ku: to to
a: dil hamko de do
ku: lo lo

a: dil meṅ ho pyār to duniyā kī har chīz suhānī lagtī hai -2
( jīne kā mazā ) -2 ātā hai sanam jab umr-e-javānī lagtī hai
ku: tumse pyār ho gayā …

ku: ziṅdgī kuchh nahīṅ aśhiqī ke binā -2
phūl khiltā nahīṅ hai kalī ke binā
a: merī pūjā adhūrī rahegī sanam -2
ai sanam terī bandgī ke binā
ku: hāṇ sanam bas terī bandgī ke binā
a: ab to ziṅdgī se -2
baṛh ke bhī -2 ye pyār kī kahānī lagtī hai
ku: dil meṅ ho pyār …

a: raṅg bharne lage dil ke jazbāt meṅ -2
hāth āyā jo terā mere hāth meṅ
ku: maiṅ terā ho gayā bāt hī bāt meṅ -2
pyār baṛhne lagā har mulāqāt meṅ
a: pyār baṛhne lagā …
ku: do din kā milan
do din kā milan bhī chāhat meṅ -2
sadiyoṅ kī kahānī lagtī hai
a: dil meṅ ho pyār …