तुमसे मिलने को दिल करता है
कु: रुक जाना -4
तुमसे मिलने को दिल करता है
रे बाबा तुमसे मिलने को दिल करता है
तुम ही हो जिसपे दिल मरता है
अ: तुमसे मिलने को दिल …
जब से तुमसे शुरू ये कहानी हुई
लोग कहते हैं मैं तो दीवानी हुई
जाने क्या बात ऐसी है तुझमें सनम
ये दिल तेरे लिए ही मचलता है
तुमसे मिलने को दिल …
कु: दूर तुमसे रहूँ तो हों बेचैनियां
पास आऊँ तो बढ़ती हैं बेताबियां
हो ना जाए कहीं तू मुझसे जुदा
ऐसी बातों से दिल डरता है
रे बाबा तुमसे मिलने को दिल …
ku: ruk jānā -4
tumse milne ko dil kartā hai
re bābā tumse milne ko dil kartā hai
tum hī ho jispe dil martā hai
a: tumse milne ko dil …
jab se tumse śhurū ye kahānī huī
log kahte haiṅ maiṅ to dīvānī huī
jāne kyā bāt aisī hai tujhmeṅ sanam
ye dil tere lie hī machaltā hai
tumse milne ko dil …
ku: dūr tumse rahūṇ to hoṅ bechainiyāṅ
pās āūṇ to baṛhtī haiṅ betābiyāṅ
ho nā jāe kahīṅ tū mujhse judā
aisī bātoṅ se dil ḍartā hai
re bābā tumse milne ko dil …